indiblogger

Tuesday, October 22, 2013

Maa tum kahan ho? Part two

Tum paas kyun nahi ho maa?
Aaj man bahut udaas hai,
Bhook mujhe lagti kahan?
aur na pani ki pyaas hai ||

Tumhare haath se khaya niwala,
amrit sa sheetal mujhko lagta tha,
Tumhara haath pakad kar pag pag mein chalta tha ||

Sang tumhare kitne khel khela hun mein,
Bin tumhare kitna akela hoon mein||

Pyaale mein bharkar doodh pina sikhaya tumne jaise sab pee paate hai,
kya kahun woh din mujhe kitne yaad aate hai,

Aaj jab man ghabrata hai, Maa
toh bahut rona aata hai..

tum ho he nahi yahan toh,
mujhe gaud mein bitha kar chup kon karata hai,

Ab kheer mein woh swad kahan,
jo tumhare swaad se banti thi,

jab jab pyaala khaali hone lagta mujhe woh chiz badi khalti thi,

Aaj kadhai jalti rehti hai, Maa
par kisi ko dhyaan nahi..
Man mera bahut akela hai, Maa
par koi pareshaan nahi,

Maa jab tum ho mere khwaabon mere sapnon mein,
mein kahan dhoond paaun tumhe inn apnon mein,

Aaj maa tasveer mein tumhe muskurata dekh,
mujhe tumhari bahut yaad aati hai,

Kaise mein yeh bataun maa,

Yaad bhi khaali aati hai,
Aur khaali he laut jaati hai,

1 comment: